Koi nazar bhar dekh le tujhko
Aur wo jee le chand sanseee………
Bin bole teri ek jhalak se
Kar le tujhse chand batain………..
Kisi ki dhadkan mange tujhse
Kushi ke din aur chand ratain…….
Koi khada hai pane ko bus
Teri hansi aur chand yadain………
Tarashti rehti hai ye do ankhain
Tumhe jo dekhe to chain aaye……
Tum hi subah ho is zindgi ki
Kaha hawa se tumhe bataye……
Hai chah dekhu teri nazar se
Bus chand sapney jo sach ho jaye…
Tum hi khusi ho aur dard ho tum
Kabhi tumhe ye samajh to aaye…..
Sanjoye rakhenge un palon ko
Jahan hai baki chand yadain apni……
Hai paas tere meri subah aur
Maine sameti hai ratain apni…….
Aye waqt rukja bus chand lamhe
Aadhi adhuri hai baatain apni……
Hai teri dhadkan meri amanat
Teri liye hai ye sanse apni………
Navneet
No comments:
Post a Comment