Ek chahat ek khwahis bas tera ehsaas ho
Dur ho nazro se meri par tum dil ke paas ho
Jane tu ya jane na maine to itna jana hai
Tum hi meri zindgi ho aur mera viswas ho……….
Tum leher ho sagaro ki par kinara main nahi
Tum nazar ho har subah ki par nazara main nahi
Kaise keh du jee nahi sakta tumhare bin kabhi
Chah kar bhi tum na meri aur tumhara main nahi…………
Kuch kadam tum kya chale in zindgi ki rahon me
De gaye yadon ki gathri aaj meri bahon me
Tum ho jariya is dhadakte dil ko jine ke liye
Ban ke sapna reh gaye ho meri suni aankhon me………….
Main hawa ban kar teri aanchal ko jab lehraunga
Bund ban kar barishon ki jab kabhi takraunga
Phir bhala kaise kahogi dur tum jana nahi
Dhadkane ban kar teri bus main yahin rehjaunga………….
Navneet