Na tanha tha, na tanha hoo, magar fir bhi hai tanhaiii…..
Hai lakhon dard sine me, magar fir bhi hansi aayiii………..
Kahin milti thi do sadke tere mere mohalle ki…
Na do pal mai wahan thehra, na do pal ko hi tu aayiii……
Na jane kyo teri khushboo meri sanson ki aadat hai..
Diye har zakhm tune hi magar tujhse hi rahat hai…
Sambhal jata hoo pee kar bhi mai har roz raton ko
Dua samjhu, saza samjhu, ya samjhu teri chahat hai…
Kabhi khamosh the ye lab, kabhi aankhon ne batain ki..
Kabhi gumnam subahon ne,meri rataon ki batain ki…
Tere do pal ke chahat ne kiya aisa asar mujh par…
Pata tha chand logo ko magar lakhon ne batain ki…
Mai bikhra hu unhi rahon pe jin par the chale hum-tum
Pade hai apni hi mehfil me kuch benam se gumsum
Mila humdard bhi tujhko humain sau dard dene par...
Magar wo humse behtar hai kabhi na keh sakoge tum..
NAVNEET